Meraa bachpan,
wo meraa
allharr pan,,,
Kitnaa maa baap
ko sataaty thi,,,
Manty jab
nahi thi, kehnaa main ,,,
Dant maa-baap ki
bhii khaaty thi,,,
Markar maa mujhe
khud bhi roty,,,
Or phir wo
gale lagaati thi,,,
Rooz raaton ko
mujhko mery maa,,,
Wo Kahani pariyoon
sunaaty thi,,,
4
Bhai behno se
maa ye kehty thi,,,
Laadli meri he, ye bass ( bibbo )
Or abbu bhi
sab ko samjhate,,,
Sab se chooty
he ladly ye ( bibbo ),,,
Rooz jhulaa mujhe
jhulaati the,,,
Naaz nakhre mere
uthaati the,,,
Sath mein mere
khell gaaty ,,,
Or kabhi ghooraa bhi wo
banjati ,,,
Saath abbu bhi khelte mere ,,,
Or abbu bhi
bachcha bante the,,,
Betiyaa
piyaari sab ko
ku hoty,,,
Apne babul ke
dil ko kyun khooty,,,
Laakh galty kare
sabhi bety,,,
Phir bhi maa-baap
ko pyaari hoty,,,
Rakh ke tum
dil pe haath
ye sochoo,,,
Kitnaa tum un-ko
yaad karte ho,,,
Betoon ke paass, rehh
kar tum sabb,,,
Dam magar betioo
ka bharte ho,,,
Apne dil
ke jigaar ke
tukde ko,,,
Deke pardeass, aaheye
bharte ho,,,
Bety wo cheez
nahi, jo rakkhi
jaye,,,
Ye to geroon
ki bass amaanat
he,,,
Paloo pooso jigar
ke tukde ko,,,
Gerr ke hath
phir thamaa dalo,,,
Hum se ye sab kahaa khudaa
ne he,,,
Farz apnaa sabhi nibhaa
daloo,,
Jindaa ikk laash
betiyaa ye hooty ,,,
Apne hathoo se, doli
inhein bithaa naa he,,,
Dil ke tukde ko
apne ro-ro kar,,,
Dil pe patthar
rakhh, bholanaa
he,,,
Baat ( bibbo
) ki aaj ye
padh-karr,,,
Ashq bhii aankh
se bahanaa hai,,,
Sare duniyaa ko
bass bataa naa
hei,,,
Beatiyaa to, ye
phool hoty hei,,,
Ghar inko dusroo
kaa jaa sajaa-naa
hei,,,
Mali to kartaa
sirf rakh-waali,,,
Kalioon-ko ghar kahii
or jaa sajanaa
hei,,,
geroo kaa Ghar jake
bass sajanaa hei,,,
Maali ko milty sirf
wiraani or tanhaai,,,
writen by
hameeda ameer

No comments:
Post a Comment