78-
mujhko mamta wo yaad aati he,
meraa bachpan wo yad ataa he,
meraa babool jhulataa bahoo.n mei,
saraa alaam wo yaad aataa he,
mujhko baanhoon mei wo jhulataa tha,
khudko jhulaa meraa btataa thaa,
mujhko maamtaa wo yaad ati he,
rooz yadei mujhe rulaaty hain,
aankhe sawan bnaa ke jati hain,
yaadei bach pan mujhe staati hain,
aankhei sawan bnaa ke jati hai
mere bhai or meri behne,
mere maa baap ke the sab gehne,
kitnaa piyaaraa wo zamana tha,
aaj ye daur kesaa ayaa he,
door sare bichad ke bhethe hain,
aapni apni 2 kahaani kehte hain,
door bethe sabhi khushi se hain,
bhool bhethe hei mamtaa babool ko,
meri behne kitni piyari hain,
karti wo piyaar aaj bhi kitna,
mere babooll ki ye kahaani thi,
char din ki wo zindgani thi,
mere babool ki ye kahani thi,
kabhi un ki bhi to jwaani thi,
ham ko bhi ayegaa budhapaa jab,
yaad ayegaa unkaa saayaa tab,
he abhi waaqt tum samhal jao,
apne nazdeek unko le,aao,
bad fir tum naa pachtana,
kal karenge tumhare saath yehi,
jo tumhaari nazaar ke tare hain,
piyaar maa baap ko kaaro sab tum,
apni aakhraat ko sawanrlo bas tum,
maafi moolaa se manglo sab tum,
pyaar maa-baap ko karoo bas tum,
baat ( bibbo ) ye manlo sab tum,
apne maa- bap pe maroo bas tum
written by hameeda ameer

No comments:
Post a Comment